Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, April 16, 2015

Bismillahirrahmanirrahim ✦ Mafhum-e-Hadith: Momeeno ko uski nekiyo ka badla duniya mein diya jata hai aur aakhirat mein bhi




Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith: Momeeno ko uski nekiyo ka badla duniya mein diya jata hai aur aakhirat mein bhi

✦ Al Quran : Beshak jo log kafir huye aur kufr ki halat mein mar gaye to kisi se bhi zameen bhar kar sona bhi qubul nahi kiya jayega , chahey wo itna sara (azab se bachne ke) badle mein de, in logo ke liye dardnak azab hai aur inka koi madadgar nahi hoga 
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3) #91

✦ Anas Bin Malik radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu kisi Momeen par Ek Neki ke liye bhi zulm nahi karega uska badla Duniya mein bhi dega aur Aakhirat mein bhi dega aur Kaafir ko uski nekiyon ka badla Duniya mein diya jata hai yahan tak ki jab Aakhirat hogi to uskey paas koi Neki nahi rahegi jiska badla diya jaye.
Sahih Muslim Vol 6 ,7089

✦ Al Quran : Aur wo dozakh wale jannatiyon ko pukar kar kahenge ki hum par thoda sa pani dalo ya kuch usmein se do jo tumhe ALLAH ne rizq diya hai, wo jawab denge ki beshak ALLAH ne in dono cheezo ko kafiron par haram kar diya hai
Al Quran : Surah Al-Araf(7) Verse 50
-------------------------------------------------------
بیشک جو لوگ کافر ہوئے اور حالتِ کفر میں ہی مر گئے سو ان میں سے کوئی شخص اگر زمین بھر سونا بھی (اپنی نجات کے لئے) معاوضہ میں دینا چاہے تو اس سے ہرگز قبول نہیں کیا جائے گا، انہی لوگوں کے لئے دردناک عذاب ہے اور ان کا کوئی مددگار نہیں ہو سکے گا

حضرت انس بن مالک رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا بے شک اللہ تعالیٰ کسی مومن سے ایک نیکی کا بھی ظلم نہیں کرے گا دنیا میں اسے اس کا بدلہ عطا کیا جائے گا اور آخرت میں بھی اسے اس کا بدلہ عطا کیا جائے گا اور کافر کو دنیا میں ہی بدلہ عطا کر دیا جاتا ہے جو وہ نیکیاں اللہ کی رضا کے لئے کرتا ہے یہاں تک کہ جب آخرت میں فیصلہ ہوگا تو اس کے لئے کوئی نیکی نہ ہوگی جس کا اسے بدلہ دیا جاتا۔


اور دوزخ والے اہلِ جنت کو پکار کر کہیں گے کہ ہمیں (جنّتی) پانی سے کچھ فیض یاب کر دو یا اس (رزق) میں سے جو اﷲ نے تمہیں بخشا ہے۔ وہ کہیں گے: بیشک اﷲ نے یہ دونوں (نعمتیں) کافروں پر حرام کر دی ہیں

--------------------

✦ Al Quran : Verily, those who disbelieved, and died while they were disbelievers, the (whole) earth full of gold will not be accepted from anyone of them even if they offered it as a ransom . For them is a painful torment and they will have no helpers.
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3) #91

✦ Hadith: Anas b. Malik Radi allahuanhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Verily, Allah does nut treat a believer unjustly in regard to his virtues. He would confer upon him (His blessing) in this world and would give him reward in the Hereafter. And as regards a non-believer.he would be made to taste the reward (of virtue in this world) what as has done for himself so much that when it would be the Hereafter. he would find no virtue for which he should be rewarded
Sahih Muslim Book 039, Number 6739

✦ Al Quran : And the dwellers of the Fire will call to the dwellers of Paradise: "Pour on us some water or anything that ALLAH has provided you with." They will say: "Both (water and provision) ALLAH has forbidden to the disbelievers."
Al Quran : Surah Al-Araf(7) Verse 50

Hadith: jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raham (Rishte Naatey) ka taaluq Rahman se juda huaa hai, isliye jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun aur jo koi us se tod leta hai main bhi apne aapko us se tod leta hun.
{Sahih Bukhari, Vol 7, 5988}

Hazrat Aayesha radi allaho anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya (rishtedari) naata arsh se latka hua hai kahta hai jo mujhko mila de Allah usko apney se mila dega aur jo mujhko kaatey Allah usko apney se kaatega
{Sahih Muslim , Neki Suluq aur Adab ke masayeel (6519)}

------------------------------------------------------------


حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے  نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ رحم کا تعلق رحمن سے جڑا ہوا ہے پس جو کوئی اس سے اپنے آپ کو جوڑتا ہے اللہ پاک نے فرمایا کہ میں بھی اس کو اپنے سے جوڑ لیتا ہوں اور جو کوئی اسے توڑتا ہے میں بھی اپنے آپ کو اس سے توڑ لیتا ہوں۔ 
صحیح بخاری جلد ۷  ۵۹۸۸


حضرت عائشہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، کہا : رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : " رَحم ( خونی رشتوں کا سارا سلسلہ ) عرش کے ساتھ چمٹا ہوا ہے اور یہ کہتا ہے : جس نے میرے تعلق کو جوٹ کر رکھا اللہ اس کے ساتھ تعلق جوڑے گا اور جس نے میرے تعلق کو توڑ دیا اللہ تعالیٰ اس سے تعلق توڑ لے گا ۔ 

صحیح مسلم  ۶۵۱۹
-------------------




English translation:

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The word 'Ar-Rahm derives its name from Ar-Rahman (i.e., one of the names of ALLAH) and ALLAH said: 'I will keep good relation with the one who will keep good relation with you, (womb i.e. Kith and Kin) and sever the relation with him who will sever the relation with you, (womb, i.e. Kith and Kin).
{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 17}

A'isha Radi allaho anha reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: The tie of kinship is suspended to the Throne and says: He who unites me Allah would unite him and he who severed me Allah would sever him.
{Sahih Muslim Book 032, Number 6198}

Mafhum-e-Hadith: Allah ka bando par haq aur bando ka Allah par Haq



Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Allah ka bando par haq aur bando ka Allah par Haq

Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu se rivayaty hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ya Muadh , Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam , Aapne farmaya ki tumhe malum hai ALLAH ka bandon par kya Haq hai ? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ALLAH ka bandon par ye Haq hai ki bande khas usi (ALLAH) ki Ibadat kare aur kisi ko uske saath sharik na karey, 
Phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam thodi der chalte rahe aur uske baad farmaya Ya Muadh, Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam , Aapne farmaya ki tumhe malum hai Bando ka ALLAH par kya Haq hai jab wo ye kaam kar le? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bandon ka ALLAH par haq hai ki wo unhe (aone bando ko) Azab na karey.
{Sahih Bukhari, Vol 7, 5967}
------------------------

معاذ رضی اللہ عنہ سے روایات ے میں نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی سواری پر آپ کے پیچھے بیٹھا ہوا تھا اور میرے اور نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے درمیان کجاوہ کی پچھلی لکڑی کے سوا اور کوئی چیز حائل نہیں تھی اسی حالت میں نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یامعاذ! میں بولا یا رسول اللہ! میں حاضر ہوں، آپ کی اطاعت اور فرمابرداری کے لیے تیار ہوں۔ پھر آپ نے تھوڑی دیر تک چلتے رہے۔ اس کے بعد فرمایا: یا معاذ! میں بولا، یا رسول اللہ! حاضر ہوں آپ کی اطاعت کے لیے تیار ہوں۔ پھر آپ تھوڑی دیر چلتے رہے اس کے بعد فرمایا: یا معاذ! میں نے عرض کیا حاضر ہوں، یا رسول اللہ! آپ کی اطاعت کے لیے تیار ہوں۔ اس کے بعد نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تمہیں معلوم ہے اللہ کے اپنے بندوں پر کیا حق ہیں؟ میں نے عرض کیا اللہ اور اس کے رسول ہی کو زیادہ علم ہے۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اللہ تعالیٰ کے بندوں پر حق یہ ہیں کہ بندے خاص اس کی عبادت کریں اور اس کے ساتھ کسی کو شریک نہ بنائیں پھر آپ تھوڑی دیر چلتے رہے۔ اس کے بعد فرمایا: معاذ! میں نے عرض کیا، حاضر ہوں یا رسول اللہ! آپ کی اطاعت کے لیے تیار ہوں۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تمہیں معلوم ہے بندوں کا اللہ پر کیا حق ہے۔ جب کہ وہ یہ کام کر لیں۔ میں نے عرض کیا اللہ اور اس کے رسول کو زیادہ علم ہے۔ فرمایا کہ پھر بندوں کا اللہ پر حق ہے کہ وہ انہیں عذاب نہ کرے۔ 

صحیح بخاری جلد  ٧ ٥٩٦٧

-------------------------
Narrated Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu While I was riding behind the Prophet and between me and him and between me and him there was only the back of the saddle, he said, "0 Mu'adh!" I replied, "Labbaik, 0 ALLAH's Apostle, and Sa'daik!" he said, "Do you know what is ALLAH's right upon his slave?" I said, "ALLAH and His Apostle know best" He said "ALLAH's right upon his slaves is that they should worship Him alone and not worship anything else besides Him." Then he proceeded for a while and then said, "O Muadh bin Jabal!" I replied, "Labbaik, O ALLAH's Apostle:, Sa'daik!' He said, "Do you know what is the right of the slaves upon ALLAH if they do that?" I replied, "ALLAH and His Apostle know best." He said, "The right of the slaves upon ALLAH is that He will not punish them (if they do that)."
{Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 850}

Al Quran : jiske (Neik Aamal ke) wajan bhari honge, wo Dil pasand Aish mein hoga , Aur jiske (Neik aamal ke) wajan halke honge , uska thikana haawiya hai




Bismillahirrahmanirrahim

✦ Al Quran: Khad khadane wali, Khadkhadane wali kya hai, 
Aur tum kya jano ki Khadkhadane wali kya hai Jis Din log aisey ho jayengejaise bikhre huye patange, Aur pahaad aisey ho jayengejaise dhunki huyee rang birangi oon
to jiske (Neik Aamal ke) wajan bhari honge, wo Dil pasand Aish mein hoga ,
Aur jiske (Neik aamal ke) wajan halke honge , uska thikana haawiya hai, Aur tum kya samjhe ki hawiya kya cheez hai, dahakti huyee aag hai
Al Quran , Surah Al Qaria (101) verse 6-11

✦ Hadith: Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh ALLAH se 3 martaba jannat maangta hai to jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma. 
Aur jo shaks 3 martaba dozakh ki aag se panah maangta hai to dozakh ki aag kahti hai 
YA ALLAH isko dozakh ki aag se mehfooz farma 
Sunan Nasaii, Vol 3, 1822 –Sahih 
-------------------------------------------

अल क़ुरान: खड़ खड़ाने वाली, खड़ खड़ाने वाली क्या है,
और तुम क्या जानो की खड़खड़ाने वाली क्या है जिस दिन लोग ऐसे हो जाएंगे जैसे बिखरे हुए पतंगे,
और पहाड़ ऐसे हो जाएंगे जैसे धुनकि हुई रंग बिरंगी ऊन
तो जिसके (नेक आमाल के) वजन भारी होंगे
, वो दिल पसंद ऐश में होगा ,
और जिसके (नेक आमाल के) वजन हल्के होंगे , उसका ठिकाना हाविया है,
और तुम क्या समझे की हाविया क्या चीज़ है, दहकति हुई आग है
अल क़ुरान , सुरह अल क़ारिया (101) आयत 6-11
--------------------------------


✦ Al-Qariah (the striking Hour), What is the striking (Hour)? And what will make you know what the striking (Hour) is? It is a Day whereon mankind will be like moths(insects) scattered about.
And the mountains will be like carded wool
Then as for him whose balance (of good deeds) will be heavy,
He will live a pleasant life (in Paradise).
But as for him whose balance (of good deeds) will be light,
He will have his home in Hawiyah And what will make you know what it is?
(It is) a fiercely blazing Fire!
Al Quran , Surah Al Qaria (101)

✦ Hadith: It was narrated that Anas bin Malik Radi Allahu Anhu said The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said:
Whoever asks Allah for Paradise three times, Paradise will say:
O Allah, admit him to Paradise. And whoever seeks protection from Hell-fire three times, Hell-fire will say: O Allah, protect him from the Hell-Fire
Sunan Nasaii, Book 50, 5523-Sahih

Wo rishtedar jinse Nikah (Shadi) karna islam mein haram hai




Bismillahirrahmanirrahim 

- Wo rishtedar jinse Nikah (shadi) karna islam mein haram hai -

 Al Quran : Tum par tumhari Maaein aur betiya aur bahnein aur foofiya aur khalaein aur bhatijiyan aur bhanjiyan aur wo maaein(aurtein) jinhone tumko doodh pilaya aur razayee bahnein aur tumhari biwiyo ki maaein haram kar di gayee hai aur jin aurto se tum mubashirat kar chuke ho unki ladkiyan jinhe tum parwarish karte ho ( wo bhi tum par haram hain) haan agar unke saath tumne mubashirat na ki ho to (unki ladkiyon ke saath nikah kar lene mein) tum par kuch gunah nahi aur tumhari salbi beto ki aurtein bhi aur do bahno ko ikaththa karna bhi (haram hai) magar jo ho chuka ( so ho chuka) beshak ALLAH bakhshne wala raham karne wala hai
Al Quran , Surah An-Nisa(4) , Verse 23
----------------------------------------------

تم پر تمہاری مائیں اور تمہاری بیٹیاں اور تمہاری بہنیں اور تمہاری پھوپھیاں اور تمہاری خالائیں اور بھتیجیاں اور بھانجیاں اور تمہاری (وہ) مائیں جنہوں نے تمہیں دودھ پلایا ہو اور تمہاری رضاعت میں شریک بہنیں اور تمہاری بیویوں کی مائیں (سب) حرام کر دی گئی ہیں، اور (اسی طرح) تمہاری گود میں پرورش پانے والی وہ لڑکیاں جو تمہاری ان عورتوں (کے بطن) سے ہیں جن سے تم صحبت کر چکے ہو (بھی حرام ہیں)، پھر اگر تم نے ان سے صحبت نہ کی ہو تو تم پر (ان کی لڑکیوں سے نکاح کرنے میں) کوئی حرج نہیں، اور تمہارے ان بیٹوں کی بیویاں (بھی تم پر حرام ہیں) جو تمہاری پشت سے ہیں، اور یہ (بھی حرام ہے) کہ تم دو بہنوں کو ایک ساتھ (نکاح میں) جمع کرو سوائے اس کے کہ جو دورِ جہالت میں گزر چکا۔ بیشک اللہ بڑا بخشنے والا مہربان ہے

-------------------------

 Al Quran : Forbidden to you (for marriage) are: your mothers, your daughters, your sisters, your father's sisters, your mother's sisters, your brother's daughters, your sister's daughters, your foster mother who gave you suck, your foster milk suckling sisters, your wives' mothers, your step daughters under your guardianship, born of your wives to whom you have gone in - but there is no sin on you if you have not gone in them (to marry their daughters), - the wives of your sons who (spring) from your own loins, and two sisters in wedlock at the same time, except for what has already passed; verily, Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful.
Al Quran , Surah An-Nisa(4) , Verse 23

✦ AL Quran : ALLAH unhi logo ki tauba qubul farmata hai jo nadani ki wajah se bura kaam kar dete hain



Bismillahirrahmanirrahim

✦ AL Quran : ALLAH unhi logo ki tauba qubul farmata hai jo nadani ki wajah se bura kaam kar dete hain , aur uske baad jald hi tauba kar lete hain , aise logo ko ALLAH maaf kar deta hai aur ALLAH sabkuch janne wala aur hikmat wala hai.

✦ Aur un logo ki tauba Qubul nahi hai jo bure kaam karte rahte hain yahan tak ki jab unmein se kisi ki maut ka waqt aa jata hai us waqt kahta hai ab main tauba karta hu , aur is tarah un logon ki bhi tauba qubul nahi hai jo kufr ki halat mein mar jate hain , unke liye dardnak azab tayyar kiya hai.
Surah An-Nisa(4) , Verse 17-18

-----------------------------------------------------------
https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
-----------------------------------------------------------
✦ AL Quran : Allah accepts only the repentance of those who do evil in ignorance and foolishness and repent soon afterwards; it is they whom Allah will forgive and Allah is Ever All-Knower, All-Wise.

✦ And of no effect is the repentance of those who continue to do evil deeds until death faces one of them and he says: "Now I repent;" nor of those who die while they are disbelievers. For them We have prepared a painful torment.
Al Quran , Surah An-Nisa(4) , Verse 17-18

✦ AL Quran : Beshak jo log yateemo ka maal nahaq khate hain wo apne pet aag se bharte hain aur anqareeb (wo) aag mein dakhil honge





Bismillahirrahmanirrahim

✦ AL Quran : Beshak jo log yateemo ka maal nahaq khate hain wo apne pet aag se bharte hain aur anqareeb (wo) aag mein dakhil honge
Surah An-Nisa(4) , Verse 10

✦ Al Quran : Magar insaan ( Ajeeb Makhluq hai ki) jab uska RAB usko Aazmata hai to usey Ezzat deta aur Naimat bakshta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Ezzat bakhshi aur Jab ( Insan ko uska RAB dusri tarah) Aazmata hai ki us par rozi tang kar deta hai to kahta hai ki Mere RAB ne mujhe Zaleel kiya, Nahi balki tum log Yateem ki khatir ( dekhbhal) nahi karte aur na Miskeen ko khana khilane ki targheeb dete ho aur Meeras (wirasat) ka maal samet kar kha jate ho aur Maal ko bahut hi Azeez rakhte ho
Al Quran, Surah Fajr, Chapter 89,Verse 15-20

✦ Hadith: Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah saath honge aur Aapne shahdat aur darmiyani ungliyon ke ishaare se (dono ka kareeb hona) bataya
Sahih Bukhari, Vol 7, 6005

----------
بیشک جو لوگ یتیموں کے مال ناحق طریقے سے کھاتے ہیں وہ اپنے پیٹوں میں نری آگ بھرتے ہیں، اور وہ جلد ہی دہکتی ہوئی آگ میں جا گریں گے

مگر انسان (ایسا ہے) کہ جب اس کا رب اسے آزماتا ہے اور اسے عزت سے نوازتا ہے اور اسے نعمتیں بخشتا ہے تو وہ کہتا ہے: میرے رب نے مجھ پر کرم فرمایا لیکن جب وہ اسے (تکلیف و مصیبت دے کر) آزماتا ہے اور اس پر اس کا رزق تنگ کرتا ہے تو وہ کہتا ہے: میرے رب نے مجھے ذلیل کر دیا  یہ بات نہیں بلکہ تم یتیموں کی قدر و اِکرام نہیں کرتے. اور نہ ہی تم مسکینوں کو کھانا کھلانے کی ایک دوسرے کو ترغیب دیتے ہو. اور وراثت کا سارا مال سمیٹ کر (خود ہی) کھا جاتے ہو. اور تم مال و دولت سے حد درجہ محبت رکھتے ہو


حضرت سہل بن سعد رضی اللہ عنہ سے سنا ، ان سے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میں اوریتیم کی پرورش کرنے والا جنت میں  اس طرح ہوں گے اور آپ نے شہادت اور درمیانی انگلیوں کے اشارہ سے ( قرب کو ) بتایا

--------------------------------------------------
✦ Al Quran : Verily, those who unjustly eat up the property of orphans, they eat up only fire into their bellies, and (they) will be burnt in the blazing Fire
Surah An-Nisa(4) , Verse 10

✦ Al Quran : As for man, when his Lord tries him by giving him honour and bounties, then he says (in exultation): "My Lord has honoured me. But when He tries him by straitening his means of life, he says: "My Lord has humiliated me!" Nay! But you treat not the orphans with kindness and generosity And urge not one another on the feeding of Al-Miskin (the poor)! And you devour the inheritance all with greed, And you love wealth with much love.
Al Quran, Surah Fajr,Chapter 89,Verse 15-20

✦ Hadith: Narrated Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "I and the person who looks after an orphan and provides for him, will be in Paradise like this," putting his index and middle fingers together. (same like both finger)
Sahih Bukhari, Book 73, No. 34

✦ Mafhum-e-Hadith: Do khushnaseeb giroh jinhe dozakh se aazadi di jayegi







Bismillahirrahmanirraheem

✦ Mafhum-e-Hadith: Do khushnaseeb giroh jinhe dozakh se aazadi di jayegi( Ghazwa-e-Hind)
----------
✦ Tahwban Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein se do giroh aise hain jinko ALLAH subhanahu dozakh se aazad farma denge , usmein se ek giroh wo hai jo Hind mein jihad karega , aur dusra wo jo Essa ibn Maryam alaihi salam ke saath hoga
Sunan Nasaii, Vol 2, 1087-Hasan
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”میری امت میں دو گروہ ایسے ہیں جنہیں اللہ تعالیٰ نے جہنم سے محفوظ کر دیا ہے۔ ایک گروہ وہ ہو گا جو ہند پر لشکر کشی کرے گا اور ایک گروہ وہ ہو گا جو عیسیٰ بن مریم علیہما السلام کے ساتھ ہو گا“۔ 
-------
✦ सोबान रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया मेरी उम्मत में से दो गिरोह ऐसे हैं जिनको अल्लाह सुबहानहु  दोज़ख़् से आज़ाद फरमा  देंगे , उसमें से एक गिरोह वो है जो हिन्द में जिहाद करेगा , और दूसरा वो जो ईसा  ईब्न  मरयम अलैही सलाम के साथ होगा
सुनन नसाई, जिल्द  2, 1087-हसन
--------------
✦ It was narrated that Thawban, the freed slave of the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: "The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 'There are two groups of my Ummah whom Allah will free from the Fire: The group that invades Hind (India) , and the group that will be with Isa bin Maryam, peace be upon him.'"
Sunan Nasaii, Vol. 1, Book 25, 3177-Hasan















✦ Mafhum-e-Hadith: Haiz (menses) ki halat mein bhi aurto ke saath khilaye aur pilayen






Bismillahirrahmanirrahim



✦ Mafhum-e-Hadith: Haiz (menses) ki halat mein bhi aurto ke saath khilaye aur pilayen



✦ Abdullah bin Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya us shaksh ke baare mein jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat wali ) se humbistari kare to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa kare. 
Sunan Nasaii, Vol 1, 292 ( Sahih)

✦ Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Yahudiyon mein se jis waqt kisi khatun ko haiz aata to wo apne saath na usey khilate aur na ek makan mein uske saath rahte, Sahaba Radi-Allahu-Anhuma ne iskey mutalliq pucha to is par Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmayee jiska mafhum hai ki
"Aur Aapse Haiz ke baare mein puchte hain kah dijiye ki wo Najasat (Napaki) hai isliye Haiz mein aurton se dur raho aur unke paas na jao ( yani humbistari na karo) yahan tak ki wo paak ho jaye phir jab wo paak ho jaye to unke paas jao jahan se Allah ne tumhe hukm diya hai beshak Allah Tauba karne walo ko Dost rakhta hai aur bahut paak rahne walon ko dost rakhta hai
Al Quran 2:222"
✦ Phir Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Sahaba karam Radi-Allahu-Anhuma se farmaya ki wo Aurton se Haiz ki halat mein saath khilayein Peelayein aur ek makan mein saath rahein aur humbistari (intercourse) ke alawa tamam kaam karain.
Sunan Nasaii, Vol 1, 291 ( Sahih)



✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Mujhe Masjid mein Chatayee ( boriya, Mat) lakar do to maine Arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam main haiz ki halat mein hu , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumhare haath mein to nahi hai.

Sunan Nasaii , Vol 1, 274 (Sahih)



✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ka sir Mubarak hum mein se (yani wives mein se) kisi ki Godd ( lap) mein hota aur wo khatun ( wife) haiz ki halat mein hoti aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam Quran ki Tilawat bhi farmate

Sunan Nasaii , Vol 1, 277 (Sahih)



✦ Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Main Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke sir Mubarak mein kanghi kiya karti thi haalanki us waqt mujhe haiz ( period) aa raha hota.

Sunan Nasaii , Vol 1, 280 (Sahih)

-----------------------------------------------------------


نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ۔جو آدمی اپنی بیوی کے پاس آئے ۱؎ اور وہ حائضہ ہو تو وہ ایک دینار یا آدھا دینار صدقہ کرے



یہود کی عورتیں جب حائضہ ہو جاتیں تھی تو وہ ان کے ساتھ نہ کھاتے پیتے اور نہ انہیں اپنے ساتھ گھروں میں رکھتے تھے، 

تو لوگوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم سے (اس کے متعلق) پوچھا، اور آپ سے حیض (ایامِ ماہواری) کی نسبت سوال کرتے ہیں فرما دیں وہ نجاست ہے، سو تم حیض کے دنوں میں عورتوں سے کنارہ کش رہا کرو، اور جب تک وہ پاک نہ ہو جائیں ان کے قریب نہ جایا کرو، اور جب وہ خوب پاک ہو جائیں تو جس راستے سے اﷲ نے تمہیں اجازت دی ہے ان کے پاس جایا کرو، بیشک اﷲ بہت توبہ کرنے والوں سے محبت فرماتا ہے اور خوب پاکیزگی اختیار کرنے والوں سے محبت فرماتا ہے


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے انہیں حکم دیا کہ وہ ان کے ساتھ کھائیں، پئیں

 اور انہیں اپنے ساتھ گھروں میں رکھیں، اور جماع کے علاوہ ان کے ساتھ سب کچھ کریں


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  مجھے مسجد سے چٹائی اٹھا دو ، میں نے کہا: میں حائضہ ہوں

تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تمہارا حیض تمہارے ہاتھ میں نہیں ہے ۔


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے سر میں کنگھی کرتی اور میں حائضہ ہوتی تھی۔
         -------------------------------------

English Translation:
✦ It was narrated from Ibn Abbas from the Prophet Peace be upon him Concerning a man who has had intercourse with his wife while she was menstruating: "Let him give a Dinar or half a Dinar in charity
Sunan Nasaii, Vol 1, 290 (Sahih)

✦ It was narrated that Anas Radi-Allahu-Anhu said: "When one of their womenfolk menstruated, the Jewswould not eat or drink with them, nor mix with them in their houses. They asked the Prophet of Allah Peace be upon him about that, and Allah Mighty and Sublime revealed "They ask you concerning menstruation. Say: that is an Adha (a harmful thing for a husband to have a sexual intercourse with his wife while she is having her menses), therefore keep away from women during menses and go not unto them till they are purified. And when they have purified themselves, then go in unto them as Allah has ordained for you Truly, Allah loves those who turn unto Him in repentance and loves those who purify themselves 
Al Quran, 2 : 222 "

So the Messenger Allah commanded them to eat and drink with them menstruatingwomen) and to mix with them in their houses, and to do everything with them except intercourse. 
Sunan Nasaii, Vol 1, 289 (Sahih)

✦ It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that The Messenger Peace be upon him said Give me the mat from the Masjid She said: I am menstruating. The Messenger of Allah said: "Your menstruation is not in your hand. 
Sunan Nasaii , Vol 1, 272 (Sahih)

✦ It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that The head of the Messenger of Allah would rest in the lap of one of us when she was menstruating, and he would recite Quran. 
Sunan Nasaii , Vol 1, 275 (Sahih)

✦ It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that I used to comb the Messenger of Allah Peace be upon him when I was menstruating. 

Sunan Nasaii , Vol 1, 278 (Sahih)

ALLAH subhanahu ne farmaya wo kaun hota hai jo meri kasam khakar kahta hai ki main falah ko na bakhshunga , maine us (falah) ko bakhsh diya aur iske (kasam khane wale ) ke aamal zaya kar diye.



Bismillahirrahmanirrahim

✦ AL Quran : Aur jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hain sab ALLAH hi ka hai, jise chahe bakhsh de aur jise chahe azab kare , Aur Allah bakhshne wala meharban hai
Surah Aal-e-Imran (3) , Verse #129

✦ Hadith: Jundab Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Ek shaksh bola ki ALLAH subhanahu ki kasam Allah falah ko nahi bakhsega , ALLAH subhanahu ne farmaya wo kaun hota hai jo meri kasam khakar kahta hai ki main falah ko na bakhshunga , maine us (falah) ko bakhsh diya aur iske (kasam khane wale ) ke aamal zaya kar diye.
Sahih Muslim, Vol 6, 6681
-------------------------------------------------
✦ Note : is hadith se un sabhi so called parhezgar musalmano ko sabaq lena chahihye jo dusre musalmano ko badi aasani se kah dete hain ki ye sab dozakhi hain, ya unki bakhshish nahi hogi wagairah wagairah, hum sabko hamesha yaad rakhna chahiye ki jannat dozakh ka faisla sirf aur sirf ALLAH karega aur wo jise chahe bakhsh de aur jise chahe azab de usko koi puchne wala nahi

-------------------------------------------------
✦ AL Quran : And to Allah belongs all that is in the heavens and all that is in the earth. He forgives whom He wills, and punishes whom He wills. And Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful.
Surah Aal-e-Imran (3) , Verse #129

✦ Hadith: Jundub Radhi allahu anhu reported that Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam stated that a person said: Allah would not forgive such and such (person). Thereupon Allah the Exalted and Glorious, said: Who is he who adjures about Me that I would not grant pardon to so and so; I have granted pardon to so and so and blotted out his deeds (who took an oath that I would not grant pardon to him).
Sahih Muslim, Book 32, Hadith 6350

Mafhum-e-Hadith: Jibril Alaihi salam ne kaha ki hum (farishtey) kisi aise ghar mein nahi jaate jahan tasweer ya Kutta (dog) ho



Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith: Jibril Alaihi salam ne kaha ki hum (farishtey) kisi aise ghar mein nahi jaate jahan tasweer ya Kutta (dog) ho

Saalem ne apne walid se rivayat kiya ki Ek baar Jibril Alaihi salam ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke wahan aane ka wada kiya lekin aane mein der huyee aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam pareshaan huye, phir aap Sallallahu Alaihi wasallam bahar nikle to Jibril Alaihi salam se mulaqat huyee , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unse shikayat ki to unhone kaha ki hum (farishtey) kisi aise ghar mein nahi jaate jahan tasweer ya Kutta (dog) ho.
{Sahih Bukhari, Vol 7, 5960}
---------------------
ایک وقت پر جبرائیل علیہ السلام نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے یہاں آنے کا وعدہ کیا لیکن آنے میں دیر ہوئی۔ اس وقت پر نہیں آئے تو نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سخت پریشان ہوئے پھر آپ باہر نکلے تو جبرائیل علیہ السلام سے ملاقات ہوئی۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے ان سے شکایت کی تو انہوں نے کہا کہ ہم ( فرشتے ) کسی ایسے گھر میں نہیں جاتے جس میں مورت یا کتا ہو۔
صحیح بخاری جلد۷ ٥٩٦٠ 
---------------------
एक बार जिब्राईल अलैहिस्सलाम ने नबी करीम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के यहां आने का
वादा किया लेकिन आने में देर हुई। उस वक्त पर नहीं आए तो आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम
 सख्त परेशान हुए फिर आप बाहर निकले तो जिब्राईल अलैहिस्सलाम से मुलाकात हुई। 
आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने उनसे शिकायत की तो उन्होंने कहा कि हम (फ़रिश्ते)
 किसी ऐसे घर में नहीं जाते जहाँ मूर्ति (तस्वीर) या कुत्ता हो।
---------------------
Narrated Saalem's father Radi Allahu Anhu : Once Gabriel promised to visit the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam but he delayed and the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam got worried about that. At last he Sallallahu Alaihi wasallam came out and found Gabriel and complained to him of his grief (for his delay). Gabriel said to him, "We do not enter a place in which there is a picture or a dog." 
{Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 843}

Mafhum-e-Hadith: Ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain




Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain

Aayesa Radi Allahu Anha se rivayat hai ki kuch logon ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se kahinon (Nujumi) ke baare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iski koi buniyaad nahi , logon ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam baaz waqt wo hame aisee baatein bhi batate hain jo sahi ho jati hain, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kalma haq hota hai, ye kahin kisi Jinn se sun leta hai, wo Jinn apne dost kahin ke kaan mein daal deta hai aur phir ye kahin (Nujumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain.
{Sahih Bukhari, Vol 7, 5762}
------------------------------------

حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا نے بیان کیا کہ کچھ لوگوں  نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے کاہنوں کے متعلق پوچھا آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اس کی کوئی بنیاد نہیں ۔ لوگوں نے کہا کہ یا رسول اللہ ( صلی اللہ علیہ وسلم ) ! بعض اوقات وہ ہمیں ایسی چیزیں بھی بتاتے ہیں جو صحیح ہو جاتی ہیں ۔ حضور اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ یہ کلمہ حق ہوتا ہے ۔ اسے کاہن کسی جنی سے سن لیتا ہے وہ جنی اپنے دوست کاہن کے کان میں ڈال جاتا ہے اور پھر یہ کاہن اس کے ساتھ سوجھوٹ ملا کر بیان کرتے ہیں ۔

------------------------------------
English translation:

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Some people asked ALLAH's Apostle about the fore-tellers He said. ' They are nothing" They said, 'O ALLAH's Apostle! Sometimes they tell us of a thing which turns out to be true." ALLAH's Apostle said, "A Jinn snatches that true word and pours it Into the ear of his friend (the fore-teller) (as one puts something into a bottle) The foreteller then mixes with that word one hundred lies."
{Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 657}